kal nashshe mein tha wo but masjid mein gar aa jata iman se kaho yaro phir kis se raha jata murde ko jila lete girte ko utha lete ek dam ko jo yan aate to aap ka kya jata ye kahiye ki dhyan us ko aata hi nahin warna mahshar se to sau fitne wo dam mein utha jata mahfil mein mujhe dekha to hans ke lage kahne aane se har ek ke hai sohbat ka maza jata izaen ye pai hain maqdur agar hota main rasm-e-tashshuq ko duniya se utha jata kyun pas mere aa kar yun baithe ho munh phere kya lab tere misri hain main jin ko chaba jata kya jalwa-numa wo mah kothe pe hua aa kar kuchh aaj sawere se suraj hai chhupa jata ye kahishen kyun hotin ghabra ke agar ye dil pahlu se nikal jata aaram sa aa jata achchha hua mahfil mein 'majruh' na kuchh bola wo haal agar kahta to kis se suna jata