kal patang us ne jo bazar se mangwa bheja sada manjhe ka use mah ne gola bheja nam ka us ke jo main kah ke muamma bheja ye bhi harakat hai buri us ne ye farma bheja us ki farmaishen kya kya na baja laya main kabhi patta kabhi lachka kabhi gota bheja qais o farhad ko jagir yahi ishq ne di ek ko koh mila ek ko sahra bheja sozan o shana o aaina kharide hum ne kabhi bheja bhi to us gul ko ye sauda bheja phir tah-e-khak mera dagh-e-jigar taza hua kis ne turbat pe meri lala-e-hamra bheja aashiqon mein use ginte nahin warasta-mizaj jis ne ta-nok-e-qalam harf-e-tamanna bheja dagh-e-dil zakhm-e-jigar kulfat-e-gham dard-e-firaq hazrat-e-ishq ne kya kya nahin tohfa bheja 'mushafi' ja ke wahan bhul gae kya hum ko kabhi yaran-e-adam ne jo na purza bheja