kal qayamat hai qayamat ke siwa kya hoga ai main qurban-e-wafa wada-e-farda hoga hashr ke roz bhi kya khun-e-tamanna hoga samne aaenge ya aaj bhi parda hoga hum nahin jaante hain hashr mein kya kya hoga ye khushi hai ki wafa wada-e-farda hoga tu bata de hamein sadqe tere ai shan-e-karam hum gunahgar hain kya hashr hamara hoga lakh pardon mein koi ai nigah-e-shauq rahe dekh lega jo koi dekhne wala hoga aisi le de hui aa kar ki ilahi-tauba hum samajhte the ki mahshar mein tamasha hoga sai har gam mein ki hai ye samajh kar hum ne wahi hoga jo mashiyyat ka taqaza hoga pi ke aaya araq-e-sharm jabin par jo kabhi chehre par baada-kasho nur barasta hoga rahne dega na dam-e-zabh koi halq ko khushk mai-kade mein hamein itna to sahaara hoga mujhe kya dar hai ki honge mere sarkar shafia mujhe kya dar hai ki tu bakhshne wala hoga sharm-e-isyan se nahin uthti hain palken apni hum gunahgar se kya hashr mein parda hoga kaba sunte hain ki ghar hai bade data ka 'riyaz' zindagi hai to faqiron ka bhi phera hoga