kal shab-e-hijran thi lab par nala bimarana tha sham se ta subh dam-e-baalin pe sar yakja na tha shohra-e-alam use yumn-e-mohabbat ne kiya warna majnun ek khak uftada-e-virana tha manzil us mah ki raha jo muddaton ai ham-nashin ab wo dil goya ki ek muddat ka matam-khana tha ek nigah-e-ashna ko bhi wafa karta nahin wa huin mizhgan ki sabza sabza-e-begana tha roz o shab guzre hai pech-o-tab mein rahte tujhe ai dil-e-sad-chaak kis ki zulf ka tu shana tha yaad ayyame ki apne roz o shab ki ja-e-bash ya dar-e-baz-e-bayaban ya dar-e-mai-khana tha jis ko dekha hum ne is wahshat-kade mein dahr ke ya sidi ya khabti ya majnun ya diwana tha baad khun-rezi ke muddat be-hina rangin raha hath us ka jo mere lohu mein gustakhana tha ghair ke kahne se mara un ne hum ko be-gunah ye na samjha wo ki waqe mein bhi kuchh tha ya na tha subh hote wo bina-gosh aaj yaad aaya mujhe jo gira daman pe aansu gauhar-e-yak-dana tha shab farogh-e-bazm ka bais hua tha husn-e-dost shama ka jalwa ghubar-e-dida-e-parwana tha raat us ki chashm-e-maigun khwab mein dekhi thi main subh sote se utha to samne paimana tha rahm kuchh paida kiya shayad ki us be-rahm ne gosh us ka shab idhar ta aakhir-e-afsana tha 'mir' bhi kya mast tafeh tha sharab-e-ishq ka lab pe aashiq ke hamesha nara-e-mastana tha