kal tak kitne hangame the ab kitni KHamoshi hai

kal tak kitne hangame the ab kitni khamoshi hai
pahle duniya thi ghar mein ab duniya se ru-poshi hai

pal bhar jage gahri nind ka jhonka aaya dub gae
koi ghaflat si ghaflat madhoshi si madhoshi hai

jitna pyar badhaya hum se utna dard diya dil ko
jitne dur hue ho hum se utni ham-aghoshi hai

sab ko phul aur kaliyan banto hum ko do sukhe patte
ye kaise tohfe lae ho ye kya barg-faroshi hai

rang-e-haqiqat kya ubhrega khwab hi dekhte rahne se
jis ko tum koshish kahte ho wo to lazzat-koshi hai

hosh mein sab kuchh dekh ke bhi chup rahne ki majburi thi
kitni mani-khez 'jamil' hamari ye be-hoshi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close