kali kahte hain us ka sa dahan hai suna kariye ki ye bhi ek sukhan hai tapakte dard hain aansu ki jaga ilahi chashm ya zakhm-e-kuhan hai khabar le pir-e-kanan ki ki kuchh aaj nipat aawara bu-e-pairahan hai nahin daman mein lala be-sutun ke koi dil-e-dagh khun-e-kohkan hai shahadat-gah hai bagh-e-zamana ki har gul us mein ek khunin-kafan hai karun kya hasrat-e-gul ko wagarna dil par dagh bhi apna chaman hai jo de aaram tak aawargi 'mir' to sham-e-ghurbat ek subh-e-watan hai