kaliyon ki chaTak gul ki hansi aur ziyaada

kaliyon ki chatak gul ki hansi aur ziyaada
aae tere hisse mein khushi aur ziyaada

aa jae in aankhon mein nami aur ziyaada
ho jae mere dil ki lagi aur ziyaada

kuchh dil ki tadap badh gai manzil pe pahunch kar
kuchh ruh bhi betab hui aur ziyaada

saqi ne jo makhmur nigahon se nawaza
sahba mere saghar mein dhali aur ziyaada

phir jag uthi hai mere ehsas ki duniya
phir gham ki hawa chalne lagi aur ziyaada

palkon pe shab-e-gham jo machalne lage aansu
jazbaat ki tafsir hui aur ziyaada

mahke jo tamannaon ke gul bazm-e-wafa mein
khushbu-e-wafa phail gai aur ziyaada

isar-o-mohabbat ke nishanat jo ubhre
kirdar ki tamir hui aur ziyaada

is daur ke insan mein ikhlas-o-wafa ki
hone lagi mahsus kami aur ziyaada

chha jaega armanon ki duniya mein andhera
khwabon ki agar shama jali aur ziyaada

ai saqi-e-mahfil tere paigham-e-nazar se
ho silsila-e-baada-kashi aur ziyaada

behtar hai ki mil jae kisi ped ka saya
kya hoga agar dhup padi aur ziyaada

jab dil ko 'nigar' un ke tasawwur ne pukara
rahat ki kiran mujh ko mili aur ziyaada


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close