kamal-e-ishq mein soz-e-nihan baqi nahin rahta bhadak jate hain jab shoale dhuan baqi nahin rahta jabin to phir jabin hai aastan baqi nahin rahta jahan tum ho kisi ka bhi nishan baqi nahin rahta tumhein dekhun to kya dekhun tumhein samjhun ko kya samjhun mohabbat mein to apna bhi guman baqi nahin rahta unhin se puchhiye ye un ke dil par kya guzarti hai bahaaron mein bhi jin ka aashiyan baqi nahin rahta kabhi yaad un ki aai hai kabhi wo khud bhi aate hain mohabbat mein hijab-e-darmiyan baqi nahin rahta mohabbat ras aati hai to chha jati hai duniya par bigadti hai to phir nam-o-nishan baqi nahin rahta khizan mein lala-o-gul ka bharam bhi khul hi jata hai hamesha to fareb-e-gulistan baqi nahin rahta usi manzil mein aate hain kahin dair-o-haram 'arif' harim-e-dil se bach kar aastan baqi nahin rahta