kami hai kaun si ghar mein dikhane lag gae hain charagh aur andhera badhane lag gae hain ye e'timad bhi mera diya hua hai tujhe jo mere mashware be-kar jaane lag gae hain main itna wada-faramosh bhi nahin hun ki aap mere libas pe girhen lagane lag gae hain wo pahle tanha khazane ke khwab dekhta tha ab apne hath bhi naqshe purane lag gae hain faza badal gai andar se hum parindon ki jo bol tak nahin sakte the gane lag gae hain kahin hamara talatum thame to faisla ho hum apni mauj mein kya kya bahane lag gae hain nahin baid ki jangal mein sham pad jae hum ek ped ko rasta batane lag gae hain