kamre mein thi kharaton ki khud khud mutawatir sansen teri bajti rahen phud phud mutawatir sote mein bhi takti rahi ladne ke tu sapne thi nind ki haalat mein bhi bud bud mutawatir kukkad koi karta raha tang us ko musalsal kukdi teri karti rahi kud kud mutawatir shayad mujhe kah de ki ruko halwa to kha jao hasrat se main takta raha mud mud mutawatir kya dhit muqarrir tha jo khata raha hans hans chhittar the ki padte rahe ud ud mutawatir thi us ki nadi munh mein lagatar sahar tak sunta raha huqqe ki main gud gud mutawatir mat puchhiye sad sad ke main hota raha koela jab main ne suni chae ki sud sud mutawatir ye daur-e-waba hai are 'gilani' ji parhez mat sath mere baithiye jud jud mutawatir