kanch ke shahr mein patthar na uthao yaro mai-kada hai ise maqtal na banao yaro sahn-e-maqtal mein bhi mai-khana sajao yaro shab ke sannate mein hangama machao yaro zindagi bikne chali aai hai bazaron mein is janaze ke bhi kuchh dam lagao yaro jin ki shah-e-rag ka lahu phul ki angdai tha un ko ab haal-e-gulistan na batao yaro phailte saya-e-shab mein na chalo ruk ruk ke bujhti rahon ko kaf-e-pa se sajao yaro bazm-e-yaran mein wo kuchh soch ke aaya hoga aise diwane ko thokar na lagao yaro raat dhal jaegi mai-khana sambhal jaega koi naghma koi paigham sunao yaro zindagi rengti phirti hai yahan kasa-ba-kaf us ko ab waqt ka aaina dikhao yaro ab dhundlakon mein bhi hai taza ujalon ka 'khayal' shab ki diwar saliqe se girao yaro