kanTa sa mere jism ki gahraiyon mein tha

kanta sa mere jism ki gahraiyon mein tha
ehsas-e-karb raat ki tanhaiyon mein tha

har samt qatl-o-khun ka bazar tha magar
amn-o-aman ka zikr bhi danaiyon mein tha

hum ko qafas ke kunj mein ye bhi pata chala
us ka payam subh ki purwaiyon mein tha

pinhan nahin tha sirf mulaqat ka bayan
hijran ka kuchh malal bhi shahnaiyon mein tha

sasti kahan thi shahr-e-nigaran mein koi shai
jalwa bhi us ke husn ka mahngaiyon mein tha

daman jhatak ke kis liye mahfil se uth gae
'masud' bhi to aap ke shaidaiyon mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close