kanton mein hi kuchh zarf-e-samaat nazar aae gulshan mein kahin to meri rudad suni jae is kargah-e-shisha mein aaina hun main bhi chehra nahin koi to koi sang hi aae gul-gasht ka ab zauq na kuchh qadr-e-bahaaran ek umr se hun zakhmon ka gulzar sajae manzil ka hai imkan na koi khatm-e-safar ka is aabla-pai ko koi nam diya jae is wadi-e-kohsar mein patthar hi nahin hain hai aur bahut kuchh bhi kisi ko to nazar aae han tez bahut tez hai ab waqt ki raftar is dil ka karun kya ki jo chal pae na ruk pae tanbe si zamin aur siwa neze pe suraj taqdir ne yun hashr ke aasar dikhae ek gard-e-masafat thi jo chehre se na utri waise to yahan hum ne kai shahr basae 'imdad'-nizami na sukhnawar the na shaer kuchh zakhm amanat the kisi ki wahi le aae