kar-e-duniya se gae dida-e-bedar ke sath rabt lazim tha magar nargis-e-bimar ke sath qimat-e-shauq badhi ek hi inkar ke sath waqia kuchh to hua chashm-e-kharidar ke sath har koi jaan bachane ke liye daud pada kaun tha aakhir-e-dam qafila-salar ke sath main tere khwab se aage bhi nikal sakta hun dekh mujh ko na parakh waqt ki raftar ke sath zulm se hath uthana nahin aata hai agar kuchh riayat hi karo apne giraftar ke sath qimat-e-husn-o-ada jaan ki bazi thahri log aae the wahan dirham-o-dinar ke sath had se badh kar bhi taghaful nahin achchha hota kuchh talluq bhi to rakhte hain parastar ke sath