kar gae itna nikamma tere ehsan hum ko

kar gae itna nikamma tere ehsan hum ko
faede se bhi ziyaada hua nuqsan hum ko

mai-kashi se hamein ye faeda hai ai zahid
lagne lagte hain sabhi kaam hi aasan hum ko

kaun nuqsan uthata hai usulon ke liye
din-o-iman se badh kar hain dil-o-jaan hum ko

hum se nachiz bhi rakhte hain ye khwahish dil mein
koi samjhe hamein aaqa koi sultan hum ko

aaj pul bandh rahe hain wahi tarifon ke
zindagi bhar jo samajhte rahe nadan hum ko

khud-bakhud dhundegi rasta koi rahmat us ki
ras aa jaegi khud gardish-e-dauran hum ko

fikr-e-farda se bada rog nahin koi bhi
umr bhar rakhti hai bekar pareshan hum ko

dil mein hai dard tera fikr teri pyar tera
kaise lagta na ye virana gulistan hum ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close