kar gaya kya koi intiqal aadmi

kar gaya kya koi intiqal aadmi
log kahte hain tha ba-kamal aadmi

apni rifat pe khud hi hai dal aadmi
shan ye hai ki hai be-misal aadmi

baith jaega thak-haar kar ek din
aur kuchh din karega dhamal aadmi

sar pe hoti nahin jab khushi key rida
odh leta hai kitne malal aadmi

karte karte sawalat hal jism ke
ban gaya aaj khud hi sawal aadmi

dur kaisa hai aaya kahan dhundiye
ab to milte nahin khush-khisal aadmi

aish-gahon se niklo dikhaen tumhein
hum ne dekhe hain gham se nidhaal aadmi

fikr us ko nahin par haqiqat hai ye
har ghadi ho raha paemal aadmi

khak hai khak hi mein hai milna use
phir bhi karta hai kya kya majal aadmi

hum parindon se 'ashhar' hai kya dushmani
har qadam pe bichhata hai jal aadmi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close