karam ke bab mein apnon se ibtida kiya kar zara si baat pe dil ko na yun bura kiya kar namaz-e-ishq hai tute dilon ki dildari mere aziz na is ko kabhi qaza kiya kar ujale ke liye hai chashm o dil ka aaina bapa kabhi kisi mazlum ki aza kiya kar ba-nam-e-mazhab-o-millat ye khun bahana kya hari hari wo karen tu khuda khuda kiya kar baja sahi ye haya aur ye ehtiyat magar kabhi kabhi to mohabbat mein hausla kiya kar nazar mein rakh mere izhaar ki zarurat ko kabhi to nun ka elan bhi rawa kiya kar wo aib dhakta hai tere sabhi majid-'akhtar' so tu bhi darguzar ahbab ki khata kiya kar