karb ki aag mein din-raat pighalte rahiye karwaten dard ke bistar pe badalte rahiye kaun aata hai yahan kis ko hai fursat yaro jism ki aag mein khud apne hi jalte rahiye un ko pane ki tamanna to hai ek khwab-e-hasin tifl-e-nau-umr kei manind machalte rahiye aabla-pai se jal uthe hon har samt charagh jada-e-zist pe is tarah se chalte rahiye wadi-e-najd hai daman na ulajh jae kahin yan har ek gam pe ai dost sambhalte rahiye