kare kya ki dil bhi to majbur hai zamin sakht hai aasman dur hai jaras-e-rah mein jumla-tan shor hai magar qafile se koi dur hai tamanna-e-dal ke liye jaan di saliqa hamara to mashhur hai na ho kis tarah fikr anjam kar bharosa hai jis par so maghrur hai palak ki syahi mein hai wo nigah kaso ka magar khun manzur hai dil apna nihayat hai nazuk-mizaj gira gar ye shisha to phir chur hai kahin jo tasalli hua ho ye dil wahi be-qarari ba-dastur hai na dekha ki lohu thanba ho kabhu magar chashm-e-khun-bar nasur hai tanik garm tu sang-reze ko dekh nihan us mein bhi shola-e-tur hai bahut sai kariye to mar rahiye 'mir' bas apna to itna hi maqdur hai