karen hain nauha abas dekh dostan tanha

karen hain nauha abas dekh dostan tanha
adam se aae the tanha chale wahan tanha

nasim-e-subh hai lag chalne mein har ek yahan
nikaliye ghar se na jun mehr mehrban tanha

kiya hai shauq ne parwana shama-e-aiman ka
talab mein us ki hun shab-gard jaan-fishan tanha

nikalti kash na baize se andalib apne
hui asir-e-qafas bhi to aah yan tanha

hamein to aks bhi apna nazar nahin aata
wo tira-bakht hain hum zer-e-asman tanha

ghubar ho ke mera gard-o-baad kis ke liye
phire hai dasht mein har-su dawan-dawan tanha

wo apne sae ke hote hijab karta hai
khat us ko dijiyo qasid mile jahan tanha

hamein bhi zer-e-falak apni jaan bhaari hai
habab hi nahin hasti se sargiran tanha

phiren hain baal-fishan bulbulon ke jhund ke jhund
bhali lage hai kise sair-e-bostan tanha

saba mile kahin gar qafila to kijo khabar
bhatak-bhatak koi roe hai kar fughan tanha

nahin sharik bure waqt ka kisi ke koi
pada karahe hai raaton ye na-tawan tanha

hua nasib ye sahra-e-bekasi ai wae
falak ne la mujhe warid kiya kahan tanha

nikal gaya tere hathon kahan hai yan 'fidwi'
wo howega kisi jangal mein khasta-jaan tanha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close