karna hai kar-e-khair to phir sar na dekhna barsen jo teri zat pe patthar na dekhna lagne lagenge dost bhi dushman sabhi tumhein yani hai kis ke hath mein khanjar na dekhna rakhna haqiqaten bhi nigahon ke samne din raat sirf khwab ka manzar na dekhna rah jae rang-o-bu se talluq tera agar phulon ko apne hath se chhu kar na dekhna jaana agar hai par to ho kar sawar tum kashti ke sath sath samundar na dekhna khud karna zindagi se wafaon ka faisla kya kah raha hai tum se muqaddar na dekhna masruf apni jang mein rahna sada magar nazren utha ke tum kabhi upar na dekhna