karo jo chaho hum se puchhna kya hamari aarzu kya muddaa kya samajh ka pher hai achchha bura sab jo sach puchho to achchha kya bura kya karen sajda faqat hum bahr-sajda nahin manzur banda kya khuda kya jise mil jae tere gham ki daulat gham-e-duniya se us ko wasta kya aizzah kyun sar-e-baalin hain khamosh mariz-e-gham abhi se so gaya kya mare jate hain hum khauf-e-fana se na ho marna to jine mein bura kya na jaane aaj kyun bigde hue ho kisi ne kan mein kuchh kah diya kya na jina hath mein apne na marna bashar ki ibtida kya intiha kya sitam dekho mujhi se puchhte hain nasib-e-dushmanan kuchh ho gaya kya hamara kaam hai ghut ghut ke marna wahi jaane jafa kya hai wafa kya sar-e-mimbar koi ja kar to dekhe abhi tak hai dar-e-mai-khana wa kya wo waqt-e-subh rukhsat ho rahe hain yahi hai sham-e-gham ki ibtida kya but-e-kafir se ulfat hai 'sahar' ko wahi jaane ki but kya hai khuda kya