karta hai rahm kaun kisi be-gunah par padte hain taziyane yahan dad-khwah par shikwa hai bewafai-e-jaanan ka is qadar hum mar chale hanuz na aae wo rah par dil khud hua asir zanakhdan-e-yar mein lati hai tishnagi hi pyase ko chah par shabnam ko mahw karta hai jis tarah aaftab ya-rab nigah-e-mehr ho mere gunah par aashiq pe rahm kar shah-e-khuban agar hai tu wajib hai shafqat-e-ghoraba baadshah par wo chehra-e-kitabi hai zulf-e-dota mein yun mushaf ko jaise rakhte hain dast-e-gawah par