karte hi nahin tark-e-butan taur-e-jafa ka shayad hamin dikhlawenge didar khuda ka hai abr ki chadar shafaqi josh se gul ke maikhane ke han dekhiye ye rang hawa ka bahuteri giro jins-kulalon ke padi hai kya zikr hai waiz ke musalla-o-rida ka mar jaega baaton mein koi gham-zada yun hi har lahza na ho mumtahin arbab-e-wafa ka tadbir thi taskin ke liye logon ki warna malum tha muddat se hamein nafa dawa ka hath aaina-ruyon se utha baithen na kyunkar bil-aks asar pate the hum apni dua ka aankh us ki nahin aaine ke samne hoti hairat-zada hun yar ki main sharm-o-haya ka barson se tu yun hai ki ghata jab umand aai tab dida-e-tar se bhi hua ek jhadaka aankh us se nahin uthne ki sahab nazron ki jis khak pe hoga asar us ki kaf-e-pa ka talwar ke sae hi mein kate hai to ai 'mir' kis dil-zada ko hue hai ye zauq fana ka