karunga ishq wirasat ka kuchh bataunga nain main ek gharib ki beti ko aazmaunga nain unhen kaho ki bahut dher shor-o-shar na karen main dar gaya to kai roz muskuraunga nain tasalli dunga to mar jaegi wo ladki hai main jaane dunga gale se use lagaunga nain use khabar bhi nahin hogi itna chahunga use pata bhi nahin hoga main bataunga nain ye rasta badi mushkil se tai kiya main ne ye fasla hai dilon ka ise mitaunga nain tera mutalba hai teri yaad ke aansu main ab ke roya to aankhon ko bhi bachaunga nain aur ab ki salgirah par plan kya hai tera aur ab ki bar to main samne bhi aaunga nain main tujh se aankh mila kar ghazal sunaunga main khud ko dubta dekhunga aur bachaunga nain