kasa-e-dast-e-dua kaun bhare is qadar zakhm khula kaun bhare dhyan se chalta hun thame dil ko tut jaane pe khuda kaun bhare kaam sare hi pade hain ghar ke aah bhi mere siwa kaun bhare kaun samjhae mujhe achchha-bura ho jo pahle hi bhara kaun bhare koi jab munh na lagae dil ko is ghubare mein hawa kaun bhare