kash ki jo pahchana hota apnon ko beganon ko

kash ki jo pahchana hota apnon ko beganon ko
ashkon se phir thode hi bharte apne hi paimanon ko

mere dil ko sab ne samjha ek kirae ka kamra
jaane kitne zakhm diye the main ne bhi mehmanon ko

phul sa nazuk rishta tha wo ab tum us ko jaane do
kanton se bhar rakkha tha hum ne apne gul-danon ko

sare ghar ki raunaq tha jo wo bhi hum ko chhod gaya
kyon gali dete rahte hain kamron ko dalanon ko

ab jab aage hi badhna hai mitti dalen khatm karen
aakhir kab tak dhoenge hum in pyare afsanon ko

kashti jab ho beach safar mein ishq samundar sahra kya
manzil ki jaanib ab dekho chhodo bhi tufanon ko

tahziben to ye kahti hain wasl ki khatir zabt karo
zabt se hota kya hi hasil mar diya armanon ko

jannat mein bhi dozakh ka hi sog manate rahte hain
khushiyan ras nahin aatin hain hum jaise insanon ko

qatl na hoga tum se mera main apna hi dushman hun
aag laga do banduqon mein phenko tir-kamanon ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close