kash us but ko bhi hum waqf-e-tamanna dekhen barf ki sil se nikalta hua shoala dekhen jin ko manzil-talabi mein ho talash-e-rahbar rahnumai ko mere naqsh-e-kaf-e-pa dekhen panw ki rondi hui khak hai apne sar par hum ne chaha tha ki aalam tah-o-baala dekhen narm aur garam-nigahi pe nahin apni nazar tere hote tera andaz-e-nazar kya dekhen apna gham bhi gham-e-duniya ke barabar hai 'uruj' apna gham bhul saken to gham-e-duniya dekhen