kashmakash mein hain teri zulfon ke zindani hanuz tirgi paiham hai kham-dar-kham pareshani hanuz rakhte hain hum maqsad-e-tamir-e-nau pesh-e-nazar garche hain min-jumla-e-asbab-e-virani hanuz sath-e-dariya par sukun sa hai magar ai sath-biin qar-o-dariya mein wahi maujen hain tufani hanuz ab junun mein bhi nahin aata hai sahra ka khayal shahr-e-hikmat mein hai wahshat-khez virani hanuz pursish-e-ahl-e-qalam ho ya na ho hoti to hai sang-e-marmar ke mazaron par gul-afshani hanuz hum ne rakh di qalib-e-ashaar mein chiz-e-digar tum nahin kar pae takmil-e-zaban-dani hanuz 'ashk' usul-e-kasb-e-zar se tu nahin hai aashna tishna-e-takmil hai teri hama-dani hanuz