kasrat-e-dagh se dil rashk-e-gulistan na hua mera dil khwah jo kuchh tha wo kabhu yan na hua ji to aise kai sadqe kiye tujh par lekin haif ye hai ki tanik tu bhi pasheman na hua aah mein kab ki ki sarmaya-e-dozakh na hui kaun sa ashk mera mamba-e-tufan na hua go tawajjoh se zamane ki jahan mein mujh ko jah-o-sarwat ka mayassar sar-o-saman na hua shukr-sad-shukr ki main zillat-o-khwari ke sabab kisi unwan mein ham-chashm-e-azizan na hua barq mat khoshe ki aur apni bayan kar sohbat shukr kar ye ki mera wan dil-e-sozan na hua dil-e-be-rahm gaya shaikh liye zer-e-zamin mar gaya par ye kuhan gabr-musalman na hua kaun si raat zamane mein gai jis mein 'mir' sina-e-chaak se main dast-o-gareban na hua