kaun aata hai bulata hai chala jata hai main hun wahshi ye batata hai chala jata hai mere ganw chala aata hai khilaune wala aur bachchon ko rulata hai chala jata hai mujh ko taklif wo deta hai maze le le kar aadha chehra hi dikhata hai chala jata hai khwab jab bhi main tera dekhta hun jaane kaun mujh ko aata hai jagata hai chala jata hai ab kisi aur ke hisse mein wo shamil hogi ye khabar yar sunata hai chala jata hai teri aawaz mein koi mujhe apna kah ke gham ke lamhon mein hansata hai chala jata hai mil ke rota tha bichhad jaane ka sun kar hi jo hath ab mujh se chhudata hai chala jata hai