kaun dil hai mere allah jo nashad nahin

kaun dil hai mere allah jo nashad nahin
kaun ghar hai mere allah jo barbaad nahin

naznin jaan bhi len to koi bedad nahin
chudiyan hath mein hain khanjar-e-faulad nahin

ai nasim-e-sahari sath liye ja su-e-baam
nafas-e-radd hai nala nahin fariyaad nahin

sabz-bagh aap dikhaen na ab aazadi ke
aap ke bagh mein to sarw bhi aazad nahin

chup se hain kuchh mere aaghosh mein wo hashr ke din
ye wahi hain jinhen paiman-e-wafa yaad nahin

dekhte rang-e-hina jate hain maqtal ki taraf
hath mein tegh nahin khanjar-e-faulad nahin

hai teri jeb par aaj aankh nasheman ke ewaz
baghban ye to koi chor hai sayyaad nahin

shor-e-qulqul mein gum aawaz-e-azan hai ai shaikh
ye bahut khub kahi mai-kada aabaad nahin

ek ek phul ko ek ek kali ko dekha
haar mein un ke hamara dil-e-nashad nahin

nikli hain hashr mein duniya ki purani baaten
main to kya mere farishton ko bhi ab yaad nahin

na giri barq magar aap gire ghash kha kar
ye to a hazrat-e-musa koi uftad nahin

jis se aata tha nasheman ka qafas mein kuchh lutf
tere qurban teri aankh wo sayyaad nahin

dil se nikli hai ye dil hi mein rahegi zalim
ja ke diwar se takrae wo fariyaad nahin

kaam karta tha jo ai charkh tere parde mein
wo nahin kaam mein to lazzat-e-bedad nahin

ye bahut hai rahe dil par jo hukumat qaem
aaj qabze mein agar basra-o-baghdad nahin

bu-e-khun dete hain shirin tere mehndi lage hath
hath mein lale ke khun-e-sar-e-farhad nahin

had se aage na badhe dekhiye mizhgan-e-daraaz
chhedne ke liye kam nashtar-e-fassad nahin

shoara aap ko bhi khub banate hain 'riyaz'
sab ye kahte hain koi aap sa ustad nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close