kaun kahta hai gham musibat hai ye bhi maula ki khas rahmat hai log kyun zindagi pe marte hain mere haq mein to ye qayamat hai hila-jui hai us ki rahmat ki kab ibaadat koi ibaadat hai shukr neamat ka jab nahin karta kyun musibat ki phir shikayat hai mujh se bad-tar bahut hain aalam mein qabil-e-rashk meri haalat hai qalb-e-momin na gham se ghabrae sunte hain baad-e-ranj rahat hai mujh se hoti nahin ghazal 'nadir' is qadar muzmahil tabiat hai