kaun kahta hai ki teri justuju karte rahe

kaun kahta hai ki teri justuju karte rahe
sada-dil ushshaq sharh-e-arzu karte rahe

gham ki basti mein karodon chaak-daman-e-alam
zist ke har daur mein fikr-e-rafu karte rahe

jis ne bakhsha hi nahin kuchh sozish-e-gham ke siwa
zindagi bhar hum usi ki aarzu karte rahe

ye thi na-samjhi hamari chhod kar apna dayar
tere kuche mein talash-e-rang-o-bu karte rahe

ai dil-e-khana-kharab us paikar-e-gul ki talash
dar-ba-dar sahra-ba-sahra ku-ba-ku karte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close