kaun kahta hai ki wahshat mere kaam aai hai

kaun kahta hai ki wahshat mere kaam aai hai
ye koi aur aziyyat mere kaam aai hai

yunhi main tairta phirta nahin sahraon mein
ek dariya ki nasihat mere kaam aai hai

log diwana samajhte hi nahin the mujh ko
meri bigdi hui haalat mere kaam aai hai

warna jannat se kahan mujh ko nikala jata
jo nahin ki wo ibaadat mere kaam aai hai

aakhir-e-kar tera hijr mayassar aaya
ab kahin ja ke mohabbat mere kaam aai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close