kaun sayyaad idhar bahr-e-shikar aata hai tair-e-dil qafas-e-tan mein jo ghabraata hai zulf-e-mushkin ka jo is shokh ke dhyan aata hai zakhm se sina-e-majruh ka char jata hai hijr mein maut bhi aai na mujhe sach hai masal waqt par kaun kisi ke koi kaam aata hai ab to allah hai yaran-e-watan ka hafiz dasht mein josh-e-junun hum ko liye jata hai dub kar chah-e-zaqan sina mera dil nikla qadd-e-adam se siwa aab nazar aata hai muzhda ai dil ki masiha ne diya saf jawab ab koi dam ko labon par mera dam aata hai tegh si chalti hai qatil ki dam-e-jang zaban sulh ka nam jo leta hai to haklata hai turra-e-kakul-e-pechan rukh-e-nurani par chashma-e-aina mein sanp sa lahraata hai shauq tauf-e-haram-e-ku-e-sanam ka din raat surat-e-naqsh-e-qadam thokaren khilwata hai du-ba-du aashiq-e-shaida se wo hoga kyunkar aaine mein bhi jo munh dekhte sharmata hai sakht pachhtate hain hum de ke dil us ko 'sayyah' apni afsos jawani pe hamein aata hai