kaun se shauq kis hawas ka nahin dil meri jaan tere bas ka nahin rah tum karwan ki lo ki mujhe shauq kuchh naghma-e-jaras ka nahin han mera wo moamla hai ki ab kaam yaran-e-nukta-ras ka nahin hum kahan se chale hain aur kahan koi andaza pesh-o-pas ka nahin ho gai us gale mein umr tamam pas shoale ko khar-o-khas ka nahin mujh ko khud se juda na hone do baat ye hai main apne bas ka nahin kya ladai bhala ki hum mein se koi bhi sainkadon baras ka nahin