kaun wan jubba-o-dastar mein aa sakta hai ghar ka ghar hi jahan bazar mein aa sakta hai kis liye khud ko samajhta hai wo patthar ki lakir us ka inkar bhi iqrar mein aa sakta hai mujh ko malum hai dariyaon ka kaf hai tujh mein tu mere mauja-e-pindar mein aa sakta hai ai hawa ki tarah athkheliyan karne wale bal kabhi waqt ki raftar mein aa sakta hai sar pe suraj hai to phir chhanw se mahzuz na ho dhup ka rang bhi diwar mein aa sakta hai ye jo main apne tain shaeri karta hun 'azim' kya takhayyul mera izhaar mein aa sakta hai