kawish-e-besh-o-kam ki baat na kar chhod dam-o-diram ki baat na kar dekh kya kar rahe hain ahl-e-zamin aasman ke sitam ki baat na kar apni aah-o-fughan ke soz ko dekh saz ke zer-o-bam ki baat na kar yun bhi tufan-e-gham hazaron hain ishq ki chashm-e-nam ki baat na kar sakht uljhi hain zist ki rahen zulf ke pech-o-kham ki baat na kar aaj sud-o-ziyan ka sauda hai aaj dair-o-haram ki baat na kar dekh farhad ki tunuk-noshi wusat-e-jam-e-jam ki baat na kar hum ne dekha hai zarf-e-ahl-e-karam hum se ahl-e-karam ki baat na kar shab ki ranginiyon ka zikr na chhed haalat-e-subh-dam ki baat na kar aaj mat chhed gham ke afsane aaj ai dost gham ki baat na kar chhin na jae tera tabassum-e-lab mere dard-o-alam ki baat na kar