kha gae na yahin ye mat miyan hai kisi ko kahan sabaat miyan waqt yaksan kabhi nahin rahta din se kahti thi kal ye raat miyan apna bazu na wo ganwa baithe jo lagae hue hai ghat miyan aastin un ki dekh lijiyega wo jo rahte hain apne sath miyan sar-ba-zanu kahin ye roti hai hans rahi hai kahin hayat miyan hum pe hai wajib-ul-ada 'zahid' aansuon ki bhi kuchh zakat miyan