khali hai talab-garon se bazar-e-tamanna aata hi nahin koi kharidar-e-tamanna har chand ki rahta hai wo bezar-e-tamanna daman mein samete hai magar khar-e-tamanna sab apni khamoshi ka lahu chat rahe hain karta hi nahin ab koi izhaar-e-tamanna is qasr-e-hawas se koi bahar nahin aata kahne ko to har shakhs hai bezar-e-tamanna paiwand-e-zamin kar na saka sail-e-bala bhi hai sar-ba-falak aaj bhi diwar-e-tamanna koi bhi nahin kam hai kisi se yahan 'akhtar' har shakhs hai is shahr mein shahkar-e-tamanna