khali hua gilas nasha sar mein aa gaya dariya utar gaya to samundar mein aa gaya yakjai ka tilism raha tari tut kar wo samne se hat ke barabar mein aa gaya ja kar jahan pe rakkha tha hona kiya durust itna sa kaam kar ke main pal bhar mein aa gaya lekin badai ka koi ehsas kab raha chakkar tha duniya-dari ka chakkar mein aa gaya aa ja ke munhasir raha nigarani par tamam aksar se ja raha kabhi aksar mein aa gaya yak gosha-e-wajud mein rakkha qayam kuchh bahar bada fasad tha so ghar mein aa gaya tuta kahin se aur gira sahn mein mere sara parinda yun laga is par mein aa gaya aawaz dunga sath mere aa sako to aao thoda jo aur haalat-e-behtar mein aa gaya duniya ke khwab dekhte guzra tamam roz uthte hi khwab-e-asl se daftar mein aa gaya jagunga jab sada-e-uluhi sununga kuchh jaanunga jab parinda sanobar mein aa gaya shayad nazare ki yahi be-hayyati rahi manzar se jaane par koi manzar mein aa gaya hilna pade na taki kisi ranj par mujhe sare ka sara main kisi patthar mein aa gaya khud ko qayam karne pe targhib dunga main koi jo ism kal mere mantar mein aa gaya be-martaba bhi sans ka lena giran na tha taqdis ka khayal muqaddar mein aa gaya bazar mein nigah na dil par padi teri nayab jins-e-dahr tha wafar mein aa gaya sayyargan to apni rawish par the gamzan lekin 'nawed' tu kahan chakkar mein aa gaya