Khaaliq se iltimas kare iltija kare

khaliq se iltimas kare iltija kare
koi to ho jo haq mein hamare dua kare

wo sham-e-haq jale na bhala kaise hashr tak
fanus ban ke jis ki hifazat hawa kare

furqat ka gham uthae ja zinda-dili ke sath
tauhin-e-ishq hogi agar tu gila kare

dushman se aise kaun bhala jit paega
jo dosti ke bhes mein chhup kar dagha kare

wo jis ka mere qatl ki sazish mein hath hai
ilzam us pe koi na aae khuda kare

ye daur-e-pur-fareb hai is daur mein 'salim'
mumkin nahin hai koi kisi se wafa kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close