khabar hi nahin kaise angdai le kar nigahen uthae ki saghar uthae kuchh aisa nasha chha gaya zindagi par sambhalte sambhalte qadam dagmagae bane husn wale sarapa qayamat jawani jab aai to andaz aae girai kabhi shokh nazron se bijli kabhi sharm aai kabhi muskurae koi ja ke mere masiha se kah de khuda ke liye aag dil ki bujha de mohabbat ke shoale bhadakne lage hain kahin khirman-e-zindagi jal na jae ho un ka didar qismat se jab bhi ada ho gai hai namaz-e-mohabbat nikal aae jab bhi wo parde se bahar nigahon ne jhuk jhuk ke sajde sunae sunae kise apni gham ki kahani kidhar jae wo teri mahfil se uth kar nazar ne teri jis ka dil le liya ho wo qismat ka mara kahan chain pae chaman wale achchhi tarah jaante hain chaman mein jo qurbaniyan hum ne di hain chaman se andhere mitane ki khatir nasheman banae nasheman jalae na saqi na botal na hai raqs-e-saghar udasi hai chhai hui anjuman par fana-sazon dil se ghazal aisi chhedo 'fana' nach uthe zindagi jhum jae