KHadsha tha jis ke hone ka aaKHir hai ho gaya

khadsha tha jis ke hone ka aakhir hai ho gaya
banda khuda ki khoj mein kafir hai ho gaya

khilqat mein apni chhup ke hai khilqat hi se chhupa
qudrat ke parde mein nihan qadir hai ho gaya

jalwa bayan ho us ka to kis ki zaban se ho
behosh hain wo jin pe wo zahir hai ho gaya

mandir mein barhaman ne hai kholi hui dukan
masjid ka pesh-imam bhi tajir hai ho gaya

sab jaedad bant ke beton ke darmiyan
apne hi ghar mein bap muhajir hai ho gaya

sud-o-ziyan ki fikr hai karne laga 'sada'
shayad faza se we bhi mutassir hai ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close