khafa na ho ki tera husn hi kuchh aisa tha main tujh se pyar na karta to aur kya karta thahar ke sun to sahi gham ki dubti aawaz palat ke dekh to le manzar-e-shikast-e-wafa tu khwab tha to mujhe nind se jagaya kyun tu wahm tha to mere sath sath kyun na chala kahan kahan liye phirta kashan kashan mujh ko lipat gaya hai mere panw se mera saya hawa chali hai ki talwar si chali hai abhi lahu mein dub gaya shakh shakh ka chehra damak uthi hain jabinen mere khayalon ki lapak gaya hai kahin teri yaad ka shoala kisi ko khwahish-e-dasht-e-wajud hi kab thi suna fasana-e-hasti to phir raha na gaya sunahri rut ke kisi nilgun tanazur mein khat-e-ufuq pe wo pila gulab phir na khila