khair ummat hain mohabbat hain wafa pyar hain hum amn-e-alam ke zamane mein alam-dar hain hum kyun hamein log samajhte hain ki ghaddar hain hum roz-e-awwal se watan tere wafadar hain hum jang-e-azadi mein hum ne bhi kiya khud ko nisar jaan dene ke liye aaj bhi tayyar hain hum bughz-o-kine se kudurat se hai nafrat hum ko aashti-amn-o-mohabbat ke parastar hain hum koi gham-khwar na monis hai zamane bhar mein ek muddat se musibat mein giraftar hain hum rabb-e-alam hai faqat ek sahaara tera warna duniya mein to be-yar-o-madadgar hain hum koi badh kar hamein sine se laga le ai 'zaki' tang-nazari se adawat se to bezar hain hum