KHair yunhi sahi taskin ho kahin thoDi si

khair yunhi sahi taskin ho kahin thodi si
han to kahte ho magar sath nahin thodi si

haal-e-dil sun ke mera barsar-e-rahmat to hain kuchh
abhi baqi hai magar chin-e-jabin thodi si

hui jati hai sahar aisa bhi ghabrana kya
raat gar hai bhi to ai mah-jabin thodi si

jam-e-mai dekh ke labrez kis andaz ke sath
us ka kahna ki nahin, itni nahin, thodi si

be-khudi ye dam-e-rukhsat thi ki sab kuchh bhula
un ki baaten bhi mujhe yaad rahin thodi si

ab ye paigham kisi ka koi le kar jae
abhi lab par hai mere jaan-e-hazin thodi si

yun to tum roz hi kahte ho sabhi kuchh mujh se
aaj ki baat hui zehn-nashin thodi si

un se kuchh kah na saka main shab-e-gham ki baaten
go ki bhula tha magar yaad bhi thin thodi si

bosa to us lab-e-shirin se kahan milta hai
galiyan bhi milin hum ko to milin thodi si

ab to sab ka tere kuche hi mein maskan thahra
yahi aabaad hai duniya mein zamin thodi si

utthe jate hain hamin aap na baithen khamosh
aap ki baat samajhte hain hamin thodi si

yaad kuchh aa ke ye haalat hui meri ki na puchh
pichhli ghadiyan shab-e-gham ki jo rahin thodi si

subh tak sham se wo go ki rahe pas mere
hasraten dil ki magar rah hi gain thodi si

koste kya ho abhi hote hain hum shadi-e-marg
gar mile dafn ko kuche mein zamin thodi si

sab mera haal wahan kaise kahega qasid!
tu to sunta hai meri baat nahin thodi si

daulat-e-faqr se sab ho gai taskin 'nizam'
ab karen kya talab-e-taj-o-nagin thodi si


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close