khairiyat us ki kuchh pata hi nahin in dinon us se rabta hi nahin masale sirf zer-e-ghaur rahe masala koi hal hua hi nahin itna pahra hai meri aankhon par main koi khwab dekhta hi nahin sirf aawaz hi suni hai abhi aamna-samna hua hi nahin ek aadat bahut buri hai meri main koi baat bhulta hi nahin