khala ka khauf pas-e-parda-e-ghubar nahin hisar-e-khak se phir bhi koi farar nahin ubur kar lin haden hum ne na-rasai ki magar tawalat-e-imkan mein ikhtisar nahin yahi bahut hai ki mitti jadon se lipti hai wagarna aaj darakhton mein barg-o-bar nahin kahin ye sail-e-safar raegan na sabit ho ki justuju ke shab-o-roz ka shumar nahin simat rahe hain wo ek dubte jazire mein abhi ye raaz kinaron pe aashkar nahin zamin ki khushk ragon mein rawan jo rahta tha kanar-e-dasht-e-hawas ab wo aab-zar nahin